Showing posts with label Ghalib Poetry. Show all posts
Showing posts with label Ghalib Poetry. Show all posts

Sunday, 8 July 2012

Haatir Ya Lahaaz Say Maan To Gaya


Haatir Ya Lahaaz Say Maan To Gaya
Jhooti Qasam Say Aap Ka Emaan To Gaya
Dil Lay Kay Muft Kahtay Hain Kuch Kaam Ka Naheen
Ulti Shikayatain Huieen , Ahsaan To Gaya
Dekha Hai Batkada Mainn Jo Aay Sheikh! Kuch Na Kuch
Emaan Ki Touba Hai Emaan To Gaya
Afshaaye Raaz Ishq Main Go Zilatain Hoeen
Lekin Usay Jata To Dia, Jaan To Gaya
Hoosh O Hawaas O Taab O Tawaaa-n , Daagh Ja Chukay
Ab Hum Bhi Janay Walay Hain Samaan To Gaya


Friday, 11 May 2012

Wo Mujhy Dard de de Kr Aazmata raha by Wasi Shah

http://urdustar.com/home/attachments/wasi-shah/109374d1322029504t-wasi-shah-tawez-banalain-tumko-wasi-shah-tawez-banalain-tumko.jpg
"Wasi Shah"
Sitam Mere Dil Pe Wo Yun Deta raha
""'"Raat Bhar Bewafa Yad Aata raha""'"
Na Hua ehsas usay Kisi K Dard Ka
Yahan Main Sehra Me tanha Hi Chillata raha,
Chahta tha Jisey Me Khud Se B Zyada
Wo Mujhy Dard de de Kr Aazmata raha,
Likhta raha Jisy Apny Jigar K Khon Se Khatt
Pata Chala Wo t






Thursday, 3 May 2012

kehte hai gam baatne se hota hai kam URDU SMS GHAZAL

Image
kehte hai gam baatne se hota hai kam,
aisa hi kabhi pele maante the hum,

tere pyar ki nishani tera gam hi to mere paas,
wo bhi baat du to rahega kya mere paas







Sunday, 22 April 2012

Mirza Ghalib Poetry


Aaina kyu na doon ke tamasha kahe jise
Aisa kaha se laau ke tujhasa kahe jise
Hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal me
Guldasta-e-nigaah suveda kahe jise
Phoonka hai kisne goshe mohabbat mein aye khuda
Afasuun-e-intazar tamanna kahe jise
Sar par hajum-e-dard-e-garibi se daliye
Wo ek musht-e-khak ke sahara kahe jise
Hai chashm-e-tar me hasarat-e-diidar se niha
Shauq-e-ina gusekhta dariya kahe jise
Darakar hai shiguftan-e-gul haye aish ko
Sub_h-e-bahar paba-e-miina kahe jise
ghalib” bura na man jo vaiz bura kahe
Aisa bhii koii hai ke sab achchha kahe jise


Mirza Ghalib Poetry

Zahid sharab peene de masjid mein beth kar,
Yaa woh jagha bata jahan Khuda nahin..
(Mirza Ghalib)
Masjid khuda ka ghar hai, peeney ki jagha nahin,
Kaafir ke dil mein ja, Wahan khudaa nahin..
(Allama Iqbal)
Kaafir ke dil se aya hon mein yeh dekh kar,
Khuda maujood hai wahan, Par usey pata nahin..
(Ahmad Faraz)


Sunday, 5 February 2012

Sundar Komal Sapnon Ki Barat Guzar Gai Janan

Sundar komal sapnon ki barat guzar gai janan
dhup ankhon tak a pahunchi hai rat guzar gai janan

bhor samay tak jis ne hamain baham uljhaye rakha
wo albeli resham jaisi bat guzar gai janan

sada ki dekhi rat hamain is bar mili to chup k se
khali hath pe rakh k kya saugat guzar gai janan

kis konpal ki as main ab tak waise hi sar-sabz ho tum
ab to dhup ka mausam hai barsat guzar gai janan

log na jane kin raton ki muraden manga karte hain
apni rat to wo jo tere sath guzar gai janan