Showing posts with label Mohsin Naqvi. Show all posts
Showing posts with label Mohsin Naqvi. Show all posts

Sunday, 13 May 2012

Yeh Kambakht Hichkiyaan Thamti Kyun nahi Mohsin

Yeh Kambakht Hichkiyaan Thamti Kyun nahi Mohsin

Kis k Zehan Main Aa Kar Yun Atak Gaya hoon Main.!!


Saturday, 3 March 2012

So Bhi Jaaon To Har Ek Khawab







So Bhi Jaaon To Har Ek Khawab Bura Hi Dekhoon
Main Kin Aankhon Se Dil-o-Jaan Ki Tabahi Dekhoon,
Dil Yeh Chahe Kay Palat Jaaon Khud Apne Ghar Ko
Jab Bhi Manzil Pe Bhatke Howe Raahi Dekhoon,

Tu Saher Hai TO Ufaq Se Koi Sooraj Bhi Nikaal
Main Kahaan Tak Tere Maathe Ki Siyahi Dekhoon,

Jurm-e-Na-Karda Gunahi Ki Saza Yeh Hai Kay Main
Apni Sochon Ko Bhi Zanjeer Bapaa Hi Dekhoon,

Baarhaa Tark-e-Taluq Pe Yeh Socha Maine
Tujhko Dhoondhon, Teri Afsurda Nigahi Dekhoon,

Woh Bhi Kiya Shaks Hai Khulta Hi Nahi Bhed Us Ka
Jab Bhi Dekhon Usay Duniya Se Khafaa Hi Dekhoon,

Kis Se Poochon Main Pata Apne Puraane Ghar Ka
Ajnabi Shaher Mein Har Shakhs Hi Niyaa Dekhoon,

Wussat-e-Dasht Ki Tanhi Se Darr Lagta Hai
Koi Zehro Nahi, Naqsh-e-Kaf-e-Paa Hi Dekhoon,

Mere Saathi To Meri Saff Se Alag Thehre Hain
Apne Haq Mein Kisi Dushman Ki Hawaahi Dekhoon,

Mere "Mohsin" Tera Mayaar-e-Nazar Kuch Bhi Sahi
Main To Insaan Kay Paikar Mein Khuda Hi Dekhoon.





Monday, 26 December 2011

Na wo milta hai Na milnay ka Ishara Koi,






Na wo milta hai Na milnay ka Ishara Koi,
Kaisay Ummeed ka chamkay ga sitara koi.

Hadd say zyada na kisi say bhi Mohabbat karna
Jaan leta hai sada jaan say pyara koi.

Bewafai kay sitam tum ko samajh aa jatay,
Kaash tum jaisa agar hota tumhara koi.

Chaand nay jaagtay Rehnay ka sabab pucha hai
kya kahin toot gaya khwab hamara koi

Sab Ta'alluq hain zarurat kay yahan per Mohsin
Na koi Dost, Na Apna, Na Sahara Koi.






Sunday, 25 December 2011

Bahaar Rutt main Ujaar Rastay Taka karo Gay to Ro Paro Gay






Bahaar Rutt main Ujaar Rastay Taka karo Gay to Ro Paro Gay,
Kisi Say milnay Ko Jab Bhi MOHSIN saja karo to Ro Paro Gay.

Tumharay Wado'n nay yaar mujh ko Tabah kiya hai Kuch Es Tarah say,
Keh Zindagi main jo phir kisi Say Dagha karo gay To Ro Paro Gay.

Main Janta hoon Meri Mohabbat Ujaar Dai'gi Tumhein bhi Aisay,
Keh Chaand Raaton main Ab kisi say Mila karo gay to Ro Paro Gay.

Barasti Barish main yaad Rakhna, Tumhein Sataein gi Meri Aankhein,
Kisi Wali kay Mazaar per jab, Dua karo gay To Ro Pari Gay.










Wednesday, 7 December 2011

Mujhy samjha na Aay MOHSIN


Mujhy samjha na Aay MOHSIN. keh ab to ho chuki mujh ko...

Mohabbat Mashwara hoti to Tum say Puch kar kartay...!


Saturday, 3 December 2011

US kay Honto'n kay Tabassum Mai - Mohsin Naqvi

US kay Honto'n kay Tabassum Mai Thi Khushbu Gham Ki

Hum Nay 'MOHSIN' Ko Bhot Dair Say Samjha Yaaro....!


Udaas Tehreer parh k meri, Meray sanam muskura na dena


Udaas Tehreer parh k meri, Meray sanam muskura na dena
Ye Aakhri khat main likh raha hoon, Khyaal karna jala na dena

Guzar rahi hai Tumhari kaisi Bichar k hum say Rula k hum ko
Haqeeqato'n ko zarur likhna anaa ki khatir chupa na dena

Koi jo puchay kidha gaya wo? Jo teri mehfil ka tha sahara
Jo Furqato'n ka sabab banay thay, Kisi bashar ko bata na dena

Main marr bhi jaao'n to Muskurana, Ehsas-e-Gham ki na chot khana
Jo Karb-e-Gham say Nigahein bheegain, To Rukh say Aanchal hata na dena

Lahu say Tehreer kar raha hoon Main apni saari kahani MOHSIN
Jo phaar bhi do to paas rakhna, Hawa main Tukray ura na dena.

GUll


Bahaar Rut Main Ujaar Rastay


Bahaar Rut main ujaar rastay,
Takka karo gay to Ro paro gay
Kisi say milnay ko jab bhi MOHSIN
Saja karo gay to Ro paro gay

Tumharay wadon nay yaar mujh ko
Tabah kiya hai kuch is tarah say
Kay zindagi main jo kabhi kisi say
Dagha karo gay to Ro paro gay.

Main jaanta hoon meri Mohabbat
Ujaar day gi tumhein bhi Aisay
K Chaand raaton main jab kisi say
Mila karo gay to Ro paro gay.

Barasti barish main yaad rakhna
Tumhein sataein gi meri Aankhein
Kisi wali k mazaar per tum
Dua karo gay to Ro paro gay.


Tuesday, 22 November 2011

Nafraton K Saaye Main Palti Nahin Muhabbatain 'Mohsin'

Nafraton K Saaye Main Palti Nahin Muhabbatain 'Mohsin'
Haathon Main Haath ho Tou Lakeerain Mil Hi Jaati Hain..!


Dil Bhi Aabad Hai

Dil Bhi Aabad Hai EK Shehr-e-Khamoshan Ki Tarah “MOHSIN”
 
Her Taraf Log Hein, Magar AaLam-e-Tanhai Hai...!


Thursday, 17 November 2011

Maghror hi sahi magar acha bohat laga

Maghror hi sahi magar acha bohat laga
Wo ajnabi to tha per apna laga
Rotha hua tha hans to para mujh ko dekh kar
muj ko is qadar dilasa boht laga
Wo jis k dam qadam se theen basti ki ronakain
Basti ujar gai to akela bohat laga
Kohar main jaisay khazan ka chand
Mailay libas mai wo pyara bohat laga
Resham pehn k bhi mery qeemat barh na saki
Khaddar bhi us k jisam per mehnga bohat laga
Mohsin jab aainey pe meri sans jam gai
Mujh ko khud apna aks be dundhla bohat laga


Zikr-e-shab-e-firaaq se vah'shat use bhi thi

Zikr-e-shab-e-firaaq se vah'shat use bhi thi

meri tarah kisi se muhabbat usay bhi thi

mujh ko bhi shauq tha naye cheharon ki deed ka

rasta badal ke chalane ki aadat usay bhi thi

us raat der tak vo raha mahv-e-guftagu

masruf main bhi kam tha faraaghat usay bhi thi

sunata tha vo bhi sab se purani kahaniyaa'n

taaza rafaqato'n ki zarurat usay bhi thi

mujh se bichhar ke shahar mein ghul mil gaya wo shakhs

halaa'n-k shahar bhar se raqabat usay bhi thi

wo mujh se barh ke zabt ka aadi tha jee gaya

varna har ek saans qayamat usay bhi thi


Sunday, 6 November 2011

Us ny maktoob mai likha hai


Us ny maktoob mai likha hai k Majboor hain hum
Aur Baa’nhon main kisi Aur ki Mehsoor hain hum
Us ny likha hai k Milnay ki koi aas na Rakh
Tere Khwabon se khyalon se bht door hain hum
Aik Saa’at Bhi Shab-e-Wasl ki bhooli na hamein
Aaj bhi teri Milan raat pe maghroor hain hum
Chashm-e-Tar Qalb-e-Hazeen, Aablay Paaon mai liye
Teri ulfat se TEre pyar se ma’moor hain hum
Unki Mehfil mai hameinIzn-e-Takkalum na mila
Un ko Andesha Raha Sarmad-e-Mansoor hain hum
Tere Begaanon sa hun se hai Rawaiyya “MOHSIN”
Bawjood is k Tere ishq main mash’hoor hain hum.


Tuesday, 1 November 2011

HAqiqat Jaan Kar Aisi Mohabbat Kon Karta Hai


HAqiqat Jaan Kar Aisi Mohabbat Kon Karta Hai



Haqiqat jan kar aisi hamaqat kon karta hai?

Bhala be faiz logonse mohabat kon karta hai?


Btao jis tijarat me khasara hi khasara ho
Bina soche khasare ki tijarat kon karta hai?

Hamen hi ghalat fehmi thi kisi k waste warna!
Zmane k rewajon se baghawat kon karta hai?

Khuda ne sabr karne ki mujhe tufiq bakhshi hai,
Ary g ghar k tarpao! shikayat kon karta hai?

Kisi k dil k zakhmon par marham rakhna zaruri hai!
Magar is daor me "Mohsin" ye zehmat kon karta hai?



Monday, 31 October 2011

Nikal k ghar se kabhi mere raaston me aa





Nikal k ghar se kabhi mere raaston me aa 

Bikhar k meri tarha tu musafaton me aa 

Teri talaash me janey main kab se phirta hoon 
Main thak chuka hon tu ab meri aahaton me aa 

Main rang-o-boo ki numaish mai aab'deeda hon 
Tu abar ban k meri simt barishon mai aa 

Main tere wastey khiltey gulaab laya hoon 
Bahaar ban k kabhi mere mousamon mai aa 

Mohabbaton me bicharna koi kamaal nahi "MOHSIN" 
Kamaal ye hai k bichar k wapis mohabaton mai aa

By M. Fayyaz GUll