Sunday, 17 June 2012

Filled Under:

Dam tor dia

Mehfalain lut gaye jazbaat nay dam tor dia
saaz khamosh hay lakin nagmaat nay dam tor dia
har musarat gham_e_dehroz ka unwaan bani
waqt ki goodh main lamhaat nay dam tor dia
un ginat mehfalain mehrom_e_chiragan hay abi
kon kehta hay kay zulmaat nay dam tor dia
aaj phir bhuj gaye jal jal kay umeedo kay chiraag
aaj phir taroo bhari raat nay dam tor dia
jis say afsana_e_hasti main tasalsul tha kabi
un muhabat ki riwayaat nay dam tor dia
jhilmilaty hoye ashko ki lari tot gaye
jagmagaati hoe barsaat nay dam tor dia
haye adaab_e_muhabat kay taqazay sagar
lab hilay or shikayat nay dam tor dia




0 comments:

Post a Comment