Monday, 16 July 2012

آج روٹھے ھوے ساجن کو بہت یاد کیا-Aaj rothay hoye sajan ko buhat yaad kia

Aaj rothay hoye sajan ko buhat yaad kia...Apnay ujray hoye gulshan ko buhat yaad kia
Jab kabhi gardish-e-taqdeer nay ghaira hay hamain...Gaso-e-yaar ki uljhan ko buhat yaad kia
Shamah ki joth pay jaltay hoye parwanon nay...Ik teray shoola-e-daman ko buhat yaad kia
Jiskay mathay pay naye subah ka jhoomar hoga.Hum nay us waqat ki dulhan ko buhat yaad kia
Aaj totay hoye sapnoon ki buhat yaad aye...Aaj beetay hoye sawan ko buhat yaad kia
Hum sar-e-toor bhi mayoos tajali hi rahay...Us dar-e-yaar ki chilman ko buhat yaad kia
Mutmain ho hi gaye daam o qafas main Sagar...Hum aseeron nay daman ko buhat yaad kia




0 comments:

Post a Comment