Saturday, 30 June 2012

Sogaye nindiya-سو گئ نندیا

Chamkain jo gardoo pay Taray nahi hay                  چمکیں جو فلک پے وہ  تارے نہیں ہے
Bikhri hoe aag hay mery ghum ki....                         بکھری هوئ آگ ہے مرے گم کی
Orhy chadar                                                           اوڑھے چادر
Chandni ki bethy ha muntazir                                  چادر چاندنی کی بیٹھے ہے منتظر
Meri anjuman main...                                               میری انجمن میں
Ankho kay seshy pay                                               آنکھوں کے شیشے پے
Pheelay hay ansu                                                     پھیلے ہے آنسو
Dhund laty hay Chanda ka chehra...                         دھندلاتے ہے چندہ کا چہرہ
Palko kay panghory main leti                                    پلکو ں کے پنگھوڑے میں لیٹی 
Jhola jholti sogaye nindiya.....                                    جھولا جھولتی سو گئ نندیا 
Chanda tary chandni                                                  چندہ تارے چاندنی 
Safaid badal siah raat                                                 سفید بدل سیاہ رات
Bay nikla ankho ki jheel say                                       به  نکلا آنکھوں  کی جھیل سے
Chamkta nanha safraat....                                           چمکتا ننھا سا فرات
Koi nahi hay sath                                                        کوئی نہیں ہے ساتھ
Koi nahi hay baat                                                       کوئی نہیں ہے بات
Guzar gaya ha din                                                       گزر گیا ہےدن 
Guzar rahi ha raat....                                                    گزر رہی ہے رات 

جان جازب  


Bun ke ahsas meri dharkan k paas rehtay ho,


Bun k ahsas meri dharkan k paas rehtay ho,
Tasveer ban k meri aankhon k paas rehtay ho,
Aaj poochtay hain aik sawal tumsay,
kiya door reh ker tum bhi udaas rehtay ho?


Wo Aaj Phir Yaad Aa Gaye yaad

Jisay hum kab se bhulaye baithay thay,
Woh aaj achanak hi yaad aa gaye,

Jis ghum ki barish nay kiya tha barbaad,
Usi barish k badal aaj phir cha gaye.


Only 10 Marks in Exam - Student SMS


Question: "How to kill an ant?"
Asked in an exam for 10 marks!
Student:
Mix chilli powder with sugar,
&
Keep it outside the ant's hole
After eating,
ant will search for some water near a water tank.
Push ant in to it!
Now ant will go to dry itself near fire,
When it reaches fire, put a bomb into d fire!
Then admit wounded ant in icu!
And then
remove oxygen mask from it's mouth and kill the ant :-|
Moral:
Don't play with students!
They can do any thing for 10 marks


A Serious Statement

A Serious Statement
written outside a Women shoe shop
.
.
.
.
70% Discount
if you select in 5min :P


14 August SMS


On Independence Day Here's one wish I make 4 us "Our Dreams Of Being Together 4eva In A New And Better Tomorrow Come True For Us"
Happy Independence. 


Friday, 29 June 2012

اک بہانہ ہے- ik bahana hay

کام تو انکی آنکھیں کرتی ہیں شراب تو بس اک بہانہ ہے 
انکی آنکھیں آنکھیں نہیں بس اک میخانہ ہے 
یہ زخمی کرنا خود کو تو بس اک  بہانہ ہے 
زخمی جو کرتا ہے وہ انکی آ نکھوں کا  اک اشارہ ہے 
یہ جو ملنا ہے میرا دوست احباب سے بس اک بہانہ ہے 
اصل  میں اپنے دل کے دشمن سے ملنے کا بہانہ ہے 
اب  اور کیا کہیں ہم یہ جینا تو ہمارا بس اک بہانہ ہے 
 روز انکو دیکھنا پھر دیکھ کے جی اٹھنے کا بہانہ ہے
                                                  
 Kaam to unki ankhain karti hay sharab to bas ik bahana hay
 unki   ankhain   ankhain   nahi    bas    ik    mekhana  hay
 Yeh   zakhmi   karna   khud   ko   to   bas   ik    bahana    hay
 zakhmi jo karta   ha   wo  unki   ankho   ka   ik    ashara    hay
 yeh jo  milna  hay  mera  dost  ahbaab  say  ik  bahana   hay
 asal main apnay dil kay dushman say milnay ka bahana  ha
 Ub or kya kahy hum yeh jeena to hamara bas ik bahana  hay
  roz  unko  dekhna  phir  dekh  kay  jee uthny ka bahana  hay



چاہیے

دل ناتوا ہے حسسن  پس پردہ ہی چاہیے 
عشق میں ہمیں زخم  و سویدا ہی چاہیے
سنا ہے خدا دکھی دل سنتا ہے بہت 
پھر ہمکو بھی دل اپنا رنجیدہ ہی چاہیے
جب عیش ایک بار ہے تو جنّت میں سہی 
دنیا میں ہم گریبوں  کو پس خوردہ ہی چاہیے
مبارک ہو میرے شہر کو یہ خرق شاہی 
دامن اپنا تو ہمکو دریدہ ہی چاہیے

شاعر :جان جازب 


رفوگر

رفوگر  ہم اپنا گریباں رفو تجھسے نہ کروایئں گے 
ہمیں زلف یار درکار ہے خار پا سے خود ہی سییں گے 
حرام ہے یہ آب خم کہا ہم نے سر تسلیم خم 
رند خیال یار مگر واعظ ہر  لمحہ پیئیں  گے 

شاعر : جان جازب  


لگن

ہمیں یاد ہے اچھی طرح لمحات جدائی کی جلن 
وہ گھڑیاں تپتی دھوپ تھی جب تھی ہمیں تیری لگن 
لوگ کہتے ہے کے ہم تنہا رہے عمر بھر 
جھوٹ کہتے ہے رفیق اپنے رہے رنج و مہن 
خواہشیں تو خار ہیں  پھول نہ سمجھو  انھیں 
دل و جان کو بھی شوق تھا کی لگن هوئ  چبھن 
 شاعر :جان جازب 


زندگی-Zindagi

زندگی ہے تپتا ہوا صحرا سایا نہیں ہے نہ شجر
جل رہے ہے پاؤں بھی پھر بھی کرنا ہے سفر 
پسینہ بھی اب آتا نہیں جو بھجاتے اس سے پیاس اپنی 
نہ کنواں یہاں نہ بحر پیتا ہوا اب خون جگر 

شاعر : جان جازب 
Zindagi hay tapta hoa sehra saya nahi hay na shjar
Jal rahy hain paon bhi phir bhi karna hay safar'
Paseena bhi ub ata nahi jo bhujatay us say pyas apni
Na koyan yaha na bahar peeta hoa ub khoon jigar 


Dil apna kamzoor hay-دل اپنا کمزور ہے

تم پوچھتے کیوں  ھو ہم سے کے کیوں کم مسکراتے ہے 
تم انسے کیو نہیں کہتے   کیوں اتنے ستم  ڈھاتے ھو 
جب ہو با خوبی آشنا کے دل اپنا کمزور ہے 
پھر حال انکے حسن کا کیوں ہمکو سناتے ہو 
ہم خود جب انکا نام لیں تو دل کی آگ بھجتی ہے 
تم اپنی زبان پے لا کے کیوں ہمکو یوں جلاتے ھو 

شاعر : جان جازب 

Tum Pochtay kyu ho hamsay k kyu kam muskaratay hain
Tum unsay kyu nahi kehtay kyu itnay sitam dhatay ho
Jab ho bakhoobi ashna kay dil apna kamzoor hay
Phir haal unkay hussan ka kyu humko sunatay ho
Hum khud jab unka naam lain to dil ki aag bhujti hay
Tum apni zubaan pay la kay kyu humko yun jalatay ho



بس دل کو لگ گئ تھی-Bas dil ko lag gaye thi

Bas dil ko lag gaye thi                            بس دل کو لگ گئ تھی
Usy dekha junoon jaga                             اسے دیکھا جنون جاگا 
Aqal ki ankh lag gaye thi...                  
عقل کی آنکھ لگ گئ تھی
Kisi kay ghum ki garmi say               کسی کی غم کی گرمی سے
Dil atish geer mady ko                               دل آتش گیر  مادے کو
Main mahfooz samjhta tha...                    میں محفوظ سمجھتا تھا
Usi ko aag lag gaye thi                          اسی کو آگ لگ گئ تھی
Kisi ki laag lag gaye thi....                 کسی کی لاگ لگ گئ تھی
Frishto pochty ho kya                                 فرشتو پوچھتے ہو کیا
Kay i moot kyu mujko                              کیوں موت آگئ مجھکو
Usi say pochlo ja kar                             اسی سے پوچھ لو جا کر
Lagai chot kyu mujko                               دی چوٹ کیوں مجھکو
Mera hay mukhtasir qissa                         میرا ہے مختصر قصّہ
Judai dil ko lag gaye thi                 جدائی دل کو لگ گئ تھی
 

جان جازب


Wednesday, 27 June 2012

Sad Sms

Lafaz  "Nahi"  jab  bhi  jaha  bhi  parta  ho
lagta hay mujay jawab meray khat ka ha


Shama nay jala dala-شمع نے جلا دیا

Haye zara  parwanay ki  koe to dekhay bebasi  ہاۓ ذرا پروانے کی کوئی تو دیکھے بےبسی 
jis shama pay  marta tha us shama nay jala dala جس شمع پے مرتا تھا اس شمع نے جلا دیا 


Tanqeed

Hukaam nay khoon_e_awaam say roshan kiye chiragh apnay
khareeda  na   tail   is   liye   kay   asraaf  _  e  _  zar   na  ho


Sad Sms

Kaha hum nay hum naraz hay teri bazam say hum ja rahy hay
awaaz  di  hum  rukay   to   unho   nay   kaha   sahib   shukria


Mahina phir december ka-مہینہ پھر دسمبر کا

Bemaza kyu na ho khusian gayara mahino ki                     بے مزہ کیوں نہ ہوں خوشیاں بارہ مہینوں کی 

kay mai nay tanha kata mahina phir december ka                    کے میں نے تنہا کاٹا مہینہ پھر دسمبر کا 
bagair malik_ul_moot kay to lamha lamha amad hay             بگیر ملک الموت کے تو لمحہ لمحہ آمد ہے 
ajal ba ezrail ki baqi kasar hay ishq main                              اجل باعزرایل کی باقی کسر ہے عشق میں  
yeh dil qadmoo say kehta hay kabi paatay kuchalna na       یہ دل قدموں سے کہتا ہے کبھی پتے کچلنا نہ 
sahi hay jabsay is dil nay kuchal jany ki taklefain        سہی ہے جب سے اس دل نے کچل جانے کی تکلیفیں 
ik arzo_e_atishi bana jisam sulagta hoya koyala                         اک آرزو آتشی بنا جسم سلگتا ہویا کویلہ
dil teray ishq main meri zindagi jhulas gaye                           دل تیرے عشق میں میری زندگی جھلس گیئ 

By: Jaan jazib


Latki hoe shamseer_e_zulaf

Latki hoe hay shamseer_e_zulaf kay samnay dil cheez hay kya
harf_e_alif kay neechay kisi zair ki manind
nashan_e_ibrat ishq main hum hi hay jazab
asaar_e_qadeema kay shakasta dhair ki manind


Nafas piyasa

                      Hay duniya ka nafas piyasa hay duniya ka nafas shedai
                     chahy jitni mil gaye phir bhi kehta kuch na paye
                     baqi nahi hay fani hay yeh to usko samjh na aye
                     mani jisnay nafas ki marzi rab ki raza hay ganwai


Junoon_e_jamaal e yaar main ghum

                  A dil kesa hay to junoon_e_jamaal e yaar main ghum
                  koi kisi toor ko dhonday koi deedar main hay ghum
                  ik pal wasal ki khatir har pal hay intizaar main ghum
                 kinara gulo ki chadar say or safar pur khaar main ghum


Muhabbat hay

                    In lafzoo main sadaqat hay mujay tumsay
                                                                                muhabbat hay
                   gila tumsay nahi koi zara c ik shikayat hay
                   hamain say kyu khafa ho tum kyu logo pay
                                                                                Anayat hay




Mera maqsad

                        Mera maqsad raakh hona hay atish_e_ishq main
                                                        koi jalay ya na jalay hum to jalain gay
                        na milay usay chuti jo yaad karay sabaq ishq
                                                       koi karay ya na kary hum to yaad karain gay
                       ishq main mar jana hi zindgai ko paa jana
                                                      koi maray ya na maray hum to maray gay
                      ub kya kahain or is ishq kay baray main jazab
                                                     jiye gay to karain gay mar kar bhi na chorain gay


Gunahoo pay ada ub chahye

Sadaye khuda a behaza kuch to haza ub chahye
buhat hoe mujsay jafa kuch to wafa ub chahye
ana ko tor gunah ko chor mujay sar jhuka ub chahye
nadam honay ki gunahoo pay ada ub chahye


yaad_e_sanam haye Qayamat-یادے صنم ہاۓ قیامت

Sooz_e_abla ghum haye qayamat yaad_e_sanam haye Qayamat
nazuk badan umeed_e_wasal zakham zada khoon fashaar Waar_e_taigh e weham haye Qayamat

سوزے آبلہ غم ہاۓ قیامت یادے صنم ہاۓ قیامت 
نازک بدن امیدے وصل ہاۓ قیامت وار تیغ وھم ہاۓ قیامت  


Waad_e_ishq-وادی عشق

Pur khatar waad_e_ishq kay har mor say guzra ho
hazaro zakhm khaye hay main nay roz tarpa ho

Pur khatar waad_e_ishq kay har mor say guzra ho

Meray ishq nay zindagi ki bheek mangi thi magar
halaq main akhri qatra khoon ka nachoor kay guzra ho

Pur khatar waad_e_ishq kay har mor say guzra ho

logo nay kaha maray hoe ko or kya marain jazab
main unsay pathar cheen kar sar apna phoor kay guzra ho

پْر خطر وادی عشق کے ہر موڑ سے گزرا ہوں 
ہزاروں زخم کھائے ہے میں نے روز تڑپا ہوں 

پْر خطر وادی عشق کے ہر موڑ سے گزرا ہوں

میرے عشق نے زندگی کی بھیک مانگی تھی مگر 
حلق میں آخری قطرہ خون کا نچوڑ کے گزرا ہوں 

پْر خطر وادی عشق کے ہر موڑ سے گزرا ہوں

لوگوں نے کہا مرے ہوۓ کو اور کیا ماریں جازب 
میں انسے پتھر چھین کر سر اپنا پھوڑ کے گزرا ہوں 

By : Jaan Jazib 


Bedaar rakh

Fikar_e_uqba bedaar rakh nafas ko khabardaar rakh
khas khana_e_nafas main ishq ka angaar rakh
ghoom na duniya kay girad deen ko apnay bedaar rakh
a musalman  bahaza ban ja behazye ko utaar rakh
yoom_e_parastash amdeed par nama apna sanwaar rakh
nishtar_e_taqwa pay sawaar ho dast_e_emaan main mahaar rakh
dushmanan_e_deen sar uthye hay hath main talwaar rakh
a hoe ado janay na paye nawak apna tayar rakh
sazish_e_ado pacheeda hay khurd ko to hoshear rakh
jo hona tha wo ho gaya ub dil main na ghubaar rakh
mushkil halaat_e_zeest main khuda ko to pukaar rakh
a dasht zara tishna reh barish ka intizaar rakh


Tuesday, 26 June 2012

Duniya ki khawahish

Duniya ki khawahisain b hay khusi rab ki b pani hay
laga hay dil b rasty main magar manzil b pani hay
iraday main sanam shikni amal main buth trashi hay
azaim khokaly teray emaan main natawani hay

By: Jaan jazib


Musalman

Jab bhool chuka apni pehchan
phir kyu na kaho insaan ko hewaan
raah_e_haq ko chor kar yeh dhondta
naye rastay naye dar o naye jahaan
tera emaan kisi kaam ka nahi a musalman
jab dil main wo teray nahi hay nehaa
agar dil kay pas deeda_e_shoq
nazar ayain tabhi manzil kay nishaan

By: Jaan jazib


A dil parwah na kar

A dil ub to parwah na kar zeest kay azaar ki
justuju karta hi reh sanam bewafa ki
agar manzil chahye to har qadam shoq say chalta ja
fikar na kar parwah na kar pur khatar raho ki
dil ko apnay thaam lay bas sabar say kaam lay
khusi ghami jo bhi milay wo sogaat hay yaar ki
kosish rahi maqsad mila kosish ruki maqsad gaya
na rukta hay na lagaam hay is waqat pur khaar ki

By: Jaan jazib


Jaan

Ulfat ka hay anjaam bura wesay nahi hay kaam bura
darwaza khol na dair lagain gay tujay dekh k chaly jain gay
______________________________________
Maza kya us main apnay hi dukh main nidhal ho koi
maza to tab hay ghum ghair main pamaal ho koi
______________________________________
Tum idhar masroof ho hum idhar masroof hay
tum sitam karty rehtay ho or hum wafa pay wafa
humko sanam tum detay ho wafa ka sabaq
or khud sharm ati nahi bary besharm mehboob hain

By: Jaan jazib


Poetry

Muhabbat zindagi bhi nahi muhabbat moot b nahi
jaan kuni muhabbat hay acha yeh lafaz b nahi
wo din gaye kay jab thay ghum kay nishaan b nahi
agar wo din nahi rahy rahy gay phir yeh b nahi
_______________________________________________
Mashkook unki wafa hay ub
wo bewaja khafa hay ub
behazyo ko jisnay kia bahaza
wo bahaza behaza hay ub


Soya zameer kyu

Pehchan insan ganwa betha soya zameer kyu
muntazir hay manzalain chalny main dair kyu
ub mujh say yeh zabat nahi hota yeh qalam nay kaha
tlkhi kay jaam pee kay jazib likhta hay shair kyu
niklo gay khawab gah say jab aye ga inqalaab
jab khurseed ho mehav khawab aye sawair kyu


Sunday, 24 June 2012

Kesay ho

Jab pas tera ihsaas hay mehsoos judai kesay ho
dekho jidhar bas tu hi tu mehsoos tanhai kesay ho
mera sarapa tishnagi tu sarapa a baju
dewarain apnay darmian tum tak rasai kesay ho
jitnay chaho sitam karo kahy gay na tumko bewafa
wada wafa koi jab hay hi nahi phir bewafai kesay ho
abi aik roop baqi hay jazab meray wajood ka
qais bananay kay siwa ub khud numai kesay ho

By: Jaan jazib


Namaz_e_hosh qaza hoe

Yeh zulmatain mita dalo koi diya jala dalo
pehlo main sanam kay jo so gaye hain
mardaan_e_toheed in ko jaga dalo
jo shama shar ko bhuja dalay
hawa ub wo chala dalo
karwa buhat jaam_e_wafa
thori si is main wafa dalo
jo namaz_e_hosh qaza hoe
kar ub usko ada dalo

By: Jaan jazib


kya kia jaye

Samjh main ishq nahi ata ub kya kia jaye
aqal kahy jiya jaye dil kahy mara jaye
yeh baam o dar beh jaye gay agar ankh ko ijazat di
yeh ranj jo zabat say bahir hay kyu na chup saha jaye
barbaad ho kay ishq main a dil meray abaad ho
abaad ho kay duniya main barbaad kyu hoa jaye
************************************************
Kabi kabi doraan_e_guzar teri awaaz kaan mai parti hay
buhat sakoon milta hay buhat takleef hoti hay
sar ghastagi kay alam main kocha nowardi kab tak karo
barh kay dasht_e_majnoo say wehsat yeh main kab tak saho

By:Jaan jazib


Poetry

Karnay raqam hum bethay thay dastaan_e_ghum apni
sitam sanam kuch itnay thay kay ashkbaar qalam hoa
socha tha aah shairi kuch kartay hay jazib
zulfain unki ghazal bani chehra un ka nazam hoa
teri yaad main qirtaas dil hath par qalam hoa
zaulfain teri ghazal bani chehra tera nazam hoa
::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::
Mujay dozakh nahi leni muhabbat duniya say bachna
samjhao arzuo ko mujay zillat nahi leni
mujay ibrat nahi banana
batao arzuo ko.....................


Yeh sardio ka mosam

Yeh sardio ka mosam yeh mosam mera apna hay
dhund ki chadar orhy hoye yeh sehmy sehmy shajar
intizar kartay hay apni apni kirno ka
darakhto say giray patty rasto main pary hay
meray guzray lamhaat hay hain yadain meray maazi ki
hain batain meray maazi ki.............
mujay jab thand lagti hay yado ko aag lagata ho
yeh mujko sulgati hain main inko sulgata ho
yeh aag teri yado ki yeh aag guzray lamhoo ki
sardio kay mosam main mujay yeh garm rakhti hay
is sardio kay mosam yeh aag geeley patto ki
yeh aag guzray lamho ki jalti ti buhat jald hay
magar main hiraan ho kabi bhi raakh nahi hoti
yeh sardio ka mosam yeh mosam mera apna hay
iski sard hawao main nay dekha koi sapna hay....

By: Jaan jazib


Romantic poetry

To shama_e_mehfil hay ho main ik tera parwana
saqi_e_nazar hay to teri chasm mera paimana
to shair koi wasal ka or main awaaz_e_wah wah
main ik mareez_e_ishq ho or tum meray ho charagar
mujh dhodia badal ki to koi baraf posh parbat hay
bulbul main koi khush nawa shabnam nahai to kali
ub raaz ki ik baat kaho a jaan_e_man sun goor say
yeh tashbihaat_e_bay maini khail hay alfaaz kay
nabeena yeh alfaaz kay mehroom hay haqiqat say

By: Jaan jazib


Alfaaz

Alfaaz ki yeh kat putlian mehroom hay jazbaat say
pamaish muhabbat kay mehdood hay yeh paimany
yaqeen karna jaan_e_man ik sach kaho tumsay
na qabil_e_bayan hay rishta mera jo hay tumsay

                        Muhabbat
Muhabbat sar phira ansu jabeen zeest ki bindia
aqal kay wastay nindiya zikar khusbu jannat hay
zameen ki phool kalio main is ik lafz muhabbat main
hazaro dastanain hain.................

By: Jaan jazib


Masomiat

Chalo un lamho ko dhonday jin main masomiat apni
lay kay angraiyan baidaar ho zamany say bay khabar ho
hath khusio say hamary yun hi jhomtay rahy
gaal apnay yun hi phir qahqahy bhartay hi rahy
phool kalian khilain to jhuk kay salam arz karain
titlian chair kar bhagain to zara barham ho
a kar phir hum ko manaye to khush hum ho
phool hum say karain shikway kay titlian chairti hay
ghata ko kuch kahy badal to ghata sharmaye
shakain masti main pairo ki hawa main raqas karain
sharab barish ki piyain hath kay paimano main
ghamo say door rahy khusio kay gulistanoo main
jugno say kahy taroo ko chair kay ayo
zabardasti chand ko ghair kar lay kay ayo
badlo ki phust par sawar ho kay hum
chanda say mulaqaat karnay asmaan pay jain
atay atay chanda ki naram roshan gaal par
shrarat bhari muhabbat main halki c chapat laga kay aye
khawab jesi ho haqiqat to maza to phir aye
har su bikhri ho muhabbat to maza phir aye....

By: Jaan jazib


Muhabbat jaan leti hay

Meray in hatho ko dekho teray samnay main joro
khuda ka wasta tumko mujay azaad kardo tum
ya sukh kay sans lenay do ya phir barbaad kardo tum
buhat tanha sa rehta ho khafa ho zindagi say main
mujay tum say b nafrat hay mujay khud say b nafrat hay
Mujay sabsy hi nafrat hay......................
main kyu kehta ho yeh sab kuch mujay kuch samjh na aye
aj g bhar kay rona hay aj zakhmo ko dhona hay
faisla aj karna hay mujay kis kis ko pana hay
mujay kis kis ko khona hay....................
meary apnay b rothay hay teri waja say a zalam
meary sapnay bhi totay hay buhat naraz ho tumsay
buhat naraz ho khud say mujay g bhar kay rona hay
buhat gamgeen ho main aj chand tumko b rona hay
sitaro tum b ro do aj aj ashko kay band toro
ansuo tum b ro do aj muhabbat kuch nahi deti
jo day to moot deti hay muhabbat kuch nahi leti
jo lay to jaan leti hay muhabbat jaan leti hay

By:Jaan jazib


Teri gali

Wo dhund main lipti teri gali
teray ghar ka nazara madham sa
seenay main sulagta raakh sa dil
par ankh kinara num num sa
yeh neem khula darwaza tera
band karnay ko a or dekh mujay
lahoo dhund ki chadar main lipta
sardi main titarhta dekh mujay
is neem khulay darwazay kay
us paar kabi to nazar ayo
yakh basta fazaye sarma main
tum dhoop ki ban kay khabar ayo
teray darwazay kay seenay say
wo dhund kay qatray liptay hoye
meray ansu lagtay hay mujko
teray darwazy pay dastak detay hoye
dil chahy bhais badal kar main
teri chokat ko maskan kar lo
teray dar say agar kuch pao na to
ashko hi say kasaa main barhlo

By: Jaan jazib


Naam_e_sanam

Kya cheez hay yeh naam_e_sanam
hay naam_e_sanam kya cheez akhir
is jazba e ulfat main dekh sanam meray
kya kya na kia dil waloo nay
kabi to naam_e_sanam ko chooma
kabi zakhmi kiye bazoo naam_e_sanam say
kabi dewarain maili ki
kabi sahil ki geeli rait par sar_e_shaam likha
haa haa ik naam likh aye bas ik naam likh aye
khud ko us ka ghulaam likh aye
hatheli pay kabi likh kay naam_e_sanam
apni purnam ankho say naam_e_sanam dekhna
kabi khareed kar unkay naam ka taweez
apnay galay main pehanana
haye kya cheez hay yeh naam_e_sanam
Tanhaiyo main bas sanam sanam cheikhna
 

By:Jaan jazib


Saturday, 23 June 2012

Zulam

Boye zulam kya phaili kay naak main dam hay
jazbaat ki ghutan hay or muntasir khayli hay
kabi gomago ki kafiyat kabi sarzanish zameer ki
kabi baaz ghast inqalaab gurbaa ki bahami ulfat
ameer_e_shehar say adawat hay tabiyatain gurbaa
amaada bagawat hain...................................

                                              Kabi
Kabi mashl_e_qasar e bahist tha
musmaar meary ub baam o dar
jo thi raqs karti khawahishain
khoon ban kay bikhri dewaaro par
meri zaat main khandraat hay
meri zaat hay bikhri hoe
a atish_e_ishq jala na or
meri ankh hay biphri hoe

By: Jaan jazib


Sat rangi yadain

Har kooza lamha main jana
teri yadain qaid rehti hay
har lamha mashal_e_maqtal hay
teri yadain ghayal karti hay
kuch yadain ahl_e_taleesha hay
kuch mahar taigh zani ki hay
kuch kay hatho main teer kamaan
kuch nishtar ban kay lagti hay
kuch kantay ban kay chubti hay
is halqa zalim yadoo main
tujay chup kay dekhna shamil hay
darwazy ki wo awaaz bhi
teray anay say jo nikalti thi
teray qahqahy ki awazain
tabassum tera teri ahhatain
mera tujh ko hamesha tang karna
phir tera us pay jhunjlana
sat rangi teri yadain hay
sat rangi hi chekhain ahhain hay
ya yadain apni lay jao
ya khud ko mujko day jao.....

By: Jaan jazib


Sandal sandal yadain

Teri sandal sandal yadain
chupkay chupkay ahista
nazuk nazuk honto say
meray dil ki gaal ko choma hay
tujy pany ki zid main a jana
dil pagal aisay na samjhy
tujay kesay pain jaan_e_man
gunjal hay hi yeh aisa na suljhay
jesay teri sandal sandal yadain

By: Jaan jazib


Chalty chalty

Dar kay nokelay kharoo par
wehmoo kay angaaro par
chalty chalty thehar gaye
haanp rahi hay khawahishain
thak chukay hay khawab meray
tangain thar thar kanp rahi hay
bismal hay qadam uthtay hi nahi
is khaar zaar_e_ulfat main
is wadi_e_angaar main musafiro ka yeh qafla
ub a bala paa ho chuka har chehra musafir say
bebasi jhalakti hay lahoo say bhary ghao
ki tarah har surkh ankh tapakti hay
atay jaty rah geero say har zubaan_e_musafir
kis bay kasi say pochti hay
kis basti main wo rehti hay
wo jis ka naam rahat hay
wo jis ka naam haqiqat hay....................

By: Jaan jazib


Gul

A gul ik main b bulbul dil tera mera tujh pay fida
hay ajab tera tabassum hay ajab teri ada
rooh parwari teri khusbu chaar su phaili hoe
pinha teray rukhsaar main khurseed ki lali hoe
yeh hawain teray kano main ik baat_e_ulfat karti hay
chair kar teri patian izhaar_e_ulfat karti hay

By: Jaan Jazib


Latest Ghazal SMS 2012




Friday, 22 June 2012

Islamic

Meri zindgai ko sanwaar day bay chainio main qaraar day
a khuda teri justujo rahy har dam mujh pay rahy tera karam
,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
Hata jo naqaab unkay chehray say
sharminda ho kay ghar ko main chala
yeh pochtay hay rasty unki khaak paa say ub
to choor kay hijazi ko alwida kyu keh chala
........................................................................
Tabaay quraan hay jo moman ka qalab wo hay
tamanao ka qabristaan hay jo mooman ka qalab ha

By: Jaan jazib


Goor kar

Tapash khursheed hasti shabnam mita rahi hay goor kar
teri moot teri zindagi ko sula rahi hay goor kar
teri zindagi kya kho rahi hay kya pa rahi hay goor kar
talash isko jo tha karna ganwa rahi hay goor kar
chaah teri tera maqsad bhula rahi hay goor kar
soye kis manzil tamana ja rahi hay goor kar
zindagi ko moot ki saza a rahi hay goor kar
zindagi ub teray hatho say ja rahi hay goor kar
parwana tujko shama shar bana rahi hay goor kar
shama zindagi ko hawaye waqat bhuja rahi hay goor kar

By: Jaan jazib


Jazib

Kuch kehna nahi baqi
kuch sunana nahi baqi
fatah hoe hay ishq main
ghum sehnay ko nahi baqi
koi to sameetay raakh_e_dil
or ub jalnay ko nahi kuch baqi
;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;
rahy hamesha yeh khawab sa
teri yaad ka yeh azaab sa
wo dast_e_ba jabeen hoye hoa jo samna
khush fehmi dil ko thi laga ashara adaab sa
jazab yun bay waja na bigraye
ghulaam ho main apka par zara nawaab sa

By: Jaan jazib


Islamic poetry

Talooh ho aftaab fikar andhera hay
kay seeno main tery dam say saweera hay
....................................................................
Zinda nahi wo dil jis main fikar ho duniya ki
zinda dil to wo hay jis main qabar ho duniya ki
*****************************************************
pata hay ujar raha hay kyu khusio chaman tera
waja bas aik hay lagta nahi masjid main man tera
'''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''
Gardeeda khud garzi dil say kahi dekho
hay jaha jaha b khoon mera wahain dekho
mazhab o tahzeeb main kafir o musalman
amal o aqal main darinda o insaan kyu musabay ho

By: Jaan jazib


Jana

Kabi hansana kabi rona kabi khamosh ho jana
teri yado nay cheena hay mera raat ko so jana
meri wehsat meri talkhi say tum bhi khoof khaogay
agar to daikh lay a kar meri ankho ka dard jana
main bemaar_e_muhabbat ho teri qurbat dawa meri
mujay hay dast_e_maseeha teray anchal ka choo jana
***************************************************************
Sukh kay bol zubaan boli
teri yaad_e_natwa boli
hoya samna jab bhi tera
jhapak chasm ashk fisha boli
hona bedaar para yad_e_khawahish ko akhir
kyu hamara dil natwa boli

By: Jaan jazib


Jaan jazib

Bhool kar anjany say idhar chaly ayo
dil baizaar to hay magar tum chaly ayo
kuch shikway kuch ansu tumko dikhany hay
nikal jaye ghubaar_e_dil agar chaly ayo
sanam tum dair mat karna kahi aisa na ho
kay likhna pary darwazy pay qabar pay chaly ayo
 **********************************************************************
Samnay chah_e_duniya kay hum jhuk kyu jain
badlay sarapa khaak kay hum bik kyu jain
yeh thakan rafiq_e_nakami rokay hay qadam ko barhny say
hum to thak chukay hay magar hum ruk kyu jain
yeh khaak ko sona samjhti jahanam ko jannat kehta hay
hum nazar o nafas ki bato say behak kyu jain

By : Jaan jazib



Buhat hay

Dekhnay ko ghum kay abi rang buhat hay
parnay ko abi sar pay pary sang buhat hay
yeh chaal baaz ishq tmhain bay dhang kar dy ga
kehtay yeh hum bhi thay kay hum main dhang buhat hay
kehnay ko to zulaf_e_sanam haseen buhat hay
par zulfo main unkay chupay dang buhat hay
jo na chaha tha wo mil gaya jo chaha wo nahi mila
qismat ki ulta palti pay hum dhang buhat hay
jazab chalo utho kay ub kuch kar kay dikhain
bay kargi zeest say hum tang buhat hay

By: Jaan jazib 


Thursday, 21 June 2012

Nahi ata

Nahi maloom khawab kya mujay sona nahi ata
musarat kho gaye meri mujay hansana nahi ata
ghum e jana suno meri mujay ik baat batlao
kyu zinda ho main ub tak kyu tumahin dasna nahi ata
meri mehfil kay a logo tum jaty ho kay main jao
meray ghum pay kyu hansaty ho tumhain rona nahi ata
ghulaman_e_dil ki mehfil main aqal ki baat mat karna
a nasah tera qissa inhain sunana nahi ata

By: Jaan jazib


Ahh!

shal shal hay paar sata hay khoon ishq khaar zaar ahh!
hay shidat_e_taklif main qadam qadam pukaar ahh!
ishq ki wadi main dekhay phool naye qisam kay
qatra khoon jaga khaar jaga burg khaar ahh!
uthao gay jidhar nazar lahoo lashain hi dekho gay
ishq ki yeh raah guzar pur khatar pur khaar ahh!

By: Jaan jazib


Ishq

Khastagi haal humko na dikha a nasah
khogar_e_aina beeni nahi hay ishq
shikast o raikhtagi dil shart ishq main
sehra nowardi or kooh kani nahi hay ishq
bali aziz o ahbaab ki charhana lazim o malzoom
mehaz apni zaat ki hi qurbani nahi hay ishq

By: Jaan jazib


Sanam bay sharam

A sanam bay sharm hay sharm bhi koi shay
meray dil sitam zada say poch ha sitam bhi koi shay
andho ki tarah g raha tha main to bay khabar
dekha tujy to pata chala hay chasm bhi koi shay
mana us looh ka qalam qawi magar
teray pukhta azam ka hay qalam bhi koi shay
tuff hay tujh pay konsa tabeeb pakar laye
jisko nahi khabar kay hay marham bhi koi shay

By: Jaan jazib


khudkusi

Kisi ko chahty thay hum kch dino ki baat hay
ajal kay milay saray ghum kuch dino ki baat hay

khudkusi achi nahi a dil zara sa sabar kar
bin uskay g pain gay kam kuch dino ki baat hay
"""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""
Meri lajawaab chahat ko bhula dia kesay
ub kartay hay koi tarkeeb tujay ihsaas dilaye kesay
na janay konsi cheez tumko humsay door karti hay
ub karty hay koi tarkeeb tujay pas laye kesay
dil say chaha hay hum nay tumko agar to
ub karty hay koi tarkeeb kay tum humko chaho kesay
pochtay kya ho hum say ghum ki shiddat jana
ub kartay hay ko tarkeeb kay tum shiddat jano kesay
kya faida in tarkeebo ka mjy bhi batao zara
jab marain gay to tum dekhna wo jany gay kesay


Wednesday, 20 June 2012

Hum main sharafat thi kabi

Ghum har tarah ka hay abi ashko ki qillat thi kabi
ishq kar kay yun laga yeh zeest jannat thi kabi
a dil bata us shaks say tumko muhabbat thi kabi
main janta ho mazi main tumko yeh fursat thi kabi
magfarat khawah_e_khuda hun kay sanam kay ishq main
ghum thay itnay kay loh o qalam say bhi shikayat thi kabi
gair mutlazal emaan ka dawa tha khush fehmi ko
usay dekh kar phir yun laga kay istaqamat thi kabi
usay zulfoo say pakro ga mujay rok na a nasay
naseehat zabt na kar hum main sharafat thi kabi

By: Jaan jazib


Dil faroshi

Dil faroshi ki ada kal bhi rahy gi
muntazir bay loos wafa kal bhi rahy gi

tooq o daar o qatal ishq na hogy weeraan
dil lenay denay ki khata kal bhi rahy gi

yeh hasrat o dua sakoon kis liye hamdam
jab zeest say talkhi ki ata kal bhi rahy gi


Abi abi

Qismat pay apni naaz hay meray ghar wo aye abi abi
yeh jaga na unakay shaan hay jidhar wo aye abi abi

Meray ghar wo aye abi abi bakhuda jhoot hay yeh sach nahi
wo yaha say gaye kabi nahi jidhar wo aye abi abi

yeh ishq dard ki intaha yeh izrail kaha gaya
hamain jaan kuni manzoor hay idhar wo aye abi abi

rooh ankho main atak gaye kehnay lagi yeh farishtay say
is shart pay nikloo gi main nazar wo aye abi abi

meray jisam ki nahi chah wo meri rooh ko wo chah hay
meri marg pay bhi na aye phir na agar wo aye abi abi

By: Jaan jazib


Wo khoof o dar say dabi dabi mulaqatain yaad aye hay

Teray lafaz yaad aye hay teri batain yaad aye hain
ashko main nendain beh gaye wo ratain yaad aye hay

wo khoof o dar say dabi dabi mulaqatain yaad aye hay

jin jaghoo say jana tujay g bhar kay chup kay dekhtay
wo thikanay yaad aye hay wohi ghatain yaad aye hay

wo khoof o dar say dabi dabi mulaqatain yaad aye hay

ankho ko pani laga laga izhaar ki mashq karna
seshay main wo khud say kahi hoe batain yaad aye hay

wo khoof o dar say dabi dabi mulaqatain yaad aye hay

jin ka sabab tera ishq tha jin ka sabab tha tera dehaan
hum jeetnay walo ko phir wo matain yaad aye hay

wo khoof o dar say dabi dabi mulaqatain yaad aye hay

By: Jaan jazib  


Mufat main

Paye ulfat main badnamian mufat main
aye qismat main kyu sakhtian mufat main
sara bichaya hoa jaal hay teray hussan ka
lay kay dobi teri sokhian mufat main
khat main pocha tha usnay mera haal_e_dil
likh bheja qalam nay dewaan mufat main
qalmo kay halqoo main ja kay hazik kaho
mujh say sekho ramooz_e_bayaan mufat main
main apnay naseeb ko kyu dosh do batao zara
sara to kia dhara hay teray hussan ka wo bhi mufat main

By: Jaan jazib


Shayari

Ankho main meri nami ati hay
jab sar_e_raah teri gali ati hay
lay ashko ka tuhfa teray kochay say
yaad teri sitam gar chali ati hay
******************************
Yadoo ka bhatkay qafloo ki amad
yoom_e_shikwa zakhmo ki numaish hay
yaha dekha waha dekha tujay dekha
jaha dekha
ishq ki nazar bandi qabil_e_sitaish hay
>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
Barmala shikway say dil taskeen pata hay
ghum saraye say khusi gamgeen pata hay
na to jafa pay tiktay ho na hi wafa pay tiktay ho
yeh jan lo bad tar saza bay deen pata hay
ishq main bay rang libaas har khusi
par dil ghum o fugaa yaha rangeen pata hay

By: Jaan jazib


Muddat kay baad

Kya thandak mili hay meri ankho ko
aj tumko jo dekha hay muddat kay baad
darbaar_e_sanam main yeh dastoor hay
sitam or zayada shikayat kay baad
tha waqt_e_namaz aye yaad_e_sanam
bhaag aya namazi aqamat kay baad
gumrah dil kary ishq_e_haqeqi o majazi
sunta hay gany tilawat kay baad


Dhun_e_ghum

Dhun_e_ghum tishna samaat bazm_e_jaan main sitaar main
ghazal lutnay ki kahani sanam teray bazaar main
jhalak teri thi nagazeer thak haar kay hum lot aye
sorakh dhondaty rahy teray dar o dewaar main
ashko ki jheel kinaray nazar hay muntazir main
pakra hay tool qayam nay wadi e intizaar main
teray rukhsaar pay hum nay abhi to till banana tha
lahoo hi baqi na raha dast e surat nigaar main

By: Jaan jazib


Puranay dard

Puranay dard puranay zakhm puranay ghum kay hay saye
naya kuch bhi nahi mera sawaye sans jo aye
aj main hay talkhi kitni skoon mazi main kitna hay
naye lamhoo ki mehfil main puranay lamhay yaad aye
ashk bari say na roko wohi jab ansu na ponchay
to in ankho ki benai yun hi behtar hay beh jaye


Sar shat_e_sanam

Sar shat_e_sanam main sitam ki har ada majood hay
khazeena_e_ranjoor main ashk o fugaa mafqood hay
day na qatal ki dhamkian asharo kanayio main
yun ungli pay zulf bandhna a jan_e_man bay sood hay
dast_e_baysang hain khary dar_e_adoo kay samnay
doraan haj_e_ishq ub hamain rami maqsood hay


Ghubaar e dil

Ghubaar_e_dil kay wastay harza saraye bhi ki jiye

sath sath magar sanam ki madah saraye bhi ki jiye

anyat jis say thokar ki wo pao chomtay ho tum

zara dil aqal kay wastay aqda kashye bhi ki jiye

zubaan ko kyu pehnaye thay tab dar kay salasal

zindaan_e_bebasi main ub phir ashk bahai bhi ki jiye

ja kay sanam say yun kaho naghm_e_ghum to sikha diya

alaap kay sargam koi ub hum nawai bhi ki jiye

suna hay tum nay tareef ki meri fugaan_e_zubaan ki

kuchal kay zair_e_paa zara dil ki azmaye bhi ki jiye


Harza saraye

Ghubaar_e_dil kay wastay harza saraye bhi ki jiye
sath sath magar sanam ki madah saraye bhi ki jiye
anyat jis say thokar ki wo pao chomtay ho tum
zara dil aqal kay wastay aqda kashye bhi ki jiye
zubaan ko kyu pehnaye thay tab dar kay salasal
zindaan_e_bebasi main ub phir ashk bahai bhi ki jiye
ja kay sanam say yun kaho naghm_e_ghum to sikha diya
alaap kay sargam koi ub hum nawai bhi ki jiye
suna hay tum nay tareef ki meri fugaan_e_zubaan ki
kuchal kay zair_e_paa zara dil ki azmaye bhi ki jiye


Bethy rahy

Hum khud hi apnay pao kay salasal bany bethay rahy
shoq hi kuch aisay thay ghafil bany bethay rahy
bay khabri o lahasil ki intaha to dekhye
kisi chor ki dahleez pay sayal bany bethay rahy
gehrio main sumandar ki muntazir moti rahy
hum behar say khayef rahy sahil banay bethay rahy
teri yaad ki mojoo ki thandak utarti rahi seenay main
karwa tha zaiqa magar sahil bany bethay rahy


Wo na aye gay

Wo na aye gay idhar chalo hum hi chaly jaty hay
sanwara dekh kay unko ub hum to mary jaty hay
hum nay us aag ko pooja tha kay jaan bakhsi ho
uskay kafir bach gaye or hum kay jaly jaty hay
meray ansu bhi amaada kay khud koshey pay hoye
khud ko palko kay shakanjay main kasaay jaty hay


Preshan na ho meray hum nasheen koi itna hi keh jata
talqeen_e_sabar agar hoti main shayed dard seh jata
gawahaan chasm deed say shikway na yun karta agar
meri khatir kisi ankh say ik ashk beh jata
..........................................................................................
sitaro asmaan pay aj ik tasweer bana dalo
bana kay dil mera phir is main aik teer bana dalo
,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
alam ghum ghustagi main wehshat say mulaqat hoe
lehja a zardagi main pehroo main teri baat hoe
*****************************************
shayed khat main ankh main ansoo banana bhol gaye
tabhi to meray chara gar filfoor ana bhool gaye


Na watan kay chaman ko jala dekhta

Na watan kay chaman ko jala dekhta
kash pholo ko is main khila dekhta
jin kay hathyar aik dosray par uthy
kash suniyo ko unkay mila dekhta
sakhi hotay agar behar haye watan
na main tishna labo pay gila dekhta
khud sanashi agar hoti shaheen main
na murdaar pay yun pala dekhta


Teri chahat main a jana bara suroor aya
na chaha hum nay jo bhi ghum wo ghum zaroor aya
gali guzartay aj bhi tera darwaza dekha
teri thokar say bhi na kyu hamain shaoor aya *****************************************
Ban kay sesha aks ko teray qaid karletay
khud aina phir dekh kar teri deed karletay
bay hijaabi say khula hay raaz teray hussan ka
ahl_e_nazar andhay na hotay bhaid karletay
 shidat_e_taklif main tujh ko yaad karty hay
kam sitam kartay agar to deed karletay


Khoob hoye

Kia irtakaab_e_jurm e ishq ruswai khoob hoye
sazaye qaid_e_tahayaat ki sunwai khoob hoye
dil kya lagya kya kahain khud ko aag lagai
inaam_e_muhabbat khal aty atish ki pehnai khob hoye
azdahay wehmoo kay hay qabar tanhai khoob hoye
zakhmo pay badastay charagaro namak lagai khob hoye
bulbul kahy ujar gaye mera dil kahy yeh ishq hay
naghma ghum main dono ki hum nawai khob hoe


Sazish

Sazishi khusar phusar ub ho rahi hay halaat main
qyamat bhi mashl_e_tifal hayis waqt ki afaat main
chasm_e_sar say na dekh sab deed_e_dil kuch wa karo
maat hi bas maat hay batil ki fatohaat main
mutlashi mujrim yaha mujrim bhi khud munsif bhi khud
masoom mar rahy hay yaha makhmasaat main


Sunday, 17 June 2012

Ajab hota hay

Gulistan_e_ishq ka maza tum kya jano gay
par silsala bahaar o khazaa ka ajab hota hay
ujri ktni hi mehfalain is ishq main
par nazar say nazar ka milna ajab hota hay
may khanay to or bhi buhat hain lakin
par mehboob ki nazar ka nasha ajab hota hay
janay kis mor pay zindagi ki shaam ho jaye
par silsala urooj o zawaal ka ajab hota hay
marna to dastoor_e_kainaat hay jazab
par mar mar kar jeena ajab hota hay

By: Jazib


Kuj sharaab day bary

Main apnay bachpan di ibtada vich ik lafz
sharaab sunya**********************
a bari buri cheez a loko main ik molvi da
khataab sunya*********************
sharaab wargi shay koi naye main ik sharabi da
qool sunya************************
sharaab khana tay mast mari ajeeb tari
mahool sunya**********************
jay akhi nota tay zehan pharkay jay akhi
khola tay shoq ubhray sharaab khany da
khawab aaway kadi taa main v sharaab pee sa
sharaab dhuda sharaab peevan tay tul gaye ho c
sharaabi hasaay sharaab pee kay sharaabi akha 
tay dhul gaye ho c


December ki sard hawain

December ki sard hawain yun mera istaqbaal karti hay
meray ujray hoe dil ko buhat bay haal karti hay
khanak hawao say jisam larz uthta hay
rooh kaanp uthti hay har taraf khamoshi ki kahar
apna khaima nasab karti hay magar......
tumhari yadoo ki tamazat hamary dil ko ajib rangeen
nasha deti hay............................................
is haseen nashy main hamary dard bilaktay hay
phir ufaq par phaili kahar ki sarhad
hamain nazar ati hay yun hi december bhar tumhari
yaad ati hay****************************


Dam tor dia

Mehfalain lut gaye jazbaat nay dam tor dia
saaz khamosh hay lakin nagmaat nay dam tor dia
har musarat gham_e_dehroz ka unwaan bani
waqt ki goodh main lamhaat nay dam tor dia
un ginat mehfalain mehrom_e_chiragan hay abi
kon kehta hay kay zulmaat nay dam tor dia
aaj phir bhuj gaye jal jal kay umeedo kay chiraag
aaj phir taroo bhari raat nay dam tor dia
jis say afsana_e_hasti main tasalsul tha kabi
un muhabat ki riwayaat nay dam tor dia
jhilmilaty hoye ashko ki lari tot gaye
jagmagaati hoe barsaat nay dam tor dia
haye adaab_e_muhabat kay taqazay sagar
lab hilay or shikayat nay dam tor dia